Taza Kalaam taza-kalam

Ye-Zamini-bhi-haiGhazal
Ye zameeni bhi hai zamaani bhi
Fitrat-e-ishq aasmaani bhi
Shart hai jaan se jaiye pehle
Hai ajab umr-e-javedani bhi
Tum ne jo daastan sunai hai
Hai wohi tu meri kahani bhi
Kitne dilchasp lagne lagte hain!
Mere kisse teri zabaani bhi
Hain zaroori bohat humare liye
Ye fiza, aag or paani bhi
Ho gai khatam ek kiran ke sath
‘Raat bhi, neend bhi, kahani bhi’
Mat unhain janye dar-o-deewar
Un main yadain hain kuch suhani bhi
In deewaron pe he hoi tehreer
Mere maa baap ki jawani bhi
Hum jo ghar chor kar chale aye
The woh ajdaad ki nishani bhi
La mkan he ka zikr-e-khair Adeel
Go hain kisse bohat makani bhi