Taza Kalaam taza-kalam

ye-haal-maho-wisalGHAZAL
Ye hal-e-Mah-o-sal hai firaq se wisal tak
Hayat ko zawal hai firaq se wisal tak
Ulajh rahe hain mustaqil talash-e-sadgi main hum
Ye zindagi tu jaal hai firaq se wisal tak
Wo kis tarha karo’n baya’n jo ho khushi ki dasta’n
Malal hi malal hai firaq se wisal tak
Guma’n ko kis tarah likho’n haqiqato’n ka tarjuma’n
Khayal hi Khayal hai firaq se wisal tak
Suko’n ki neend hai kaha’n thame ga kab ye karwa’n
Aubal hi Aubal hai firaq se wisal tak
Yaqeen’n main kuch guman hai guma’n main kuch yaqeen hai
Yehi dilo’n ka haal hai firaq se wisal tak
Hain kab se dar badar Adeel jawab ki talash main
Sawal hi Sawal hai firaq se wisal tak
Adeel Zaidi