Taza Kalaam taza-kalam

Usko-jab-ke-mere-anjamGhazal
Us ko jab ke mere aanjam se kuch kam nahi
Mujh ko bhi ishq ke iqdam se kuch kam nahi
Jazba-e-ishq na phoncha saka jab main us tak
Mujh ko ab nama-o-pegham se kuch kam nahi
Ghar main jiske liye rehta tha wohi ab na raha
Ab mujhe ghar ke dar-o-bam se kuch kam nahi
Muntazir rehti her sham teri qurbat ki
Tu nahi jab tu mujhe sham se kuch kam nahi
Ilm ka jam dar-e-ilm se milta hai mujhe
Mujh ko tu or kisi jam se kuch kam nahi