Taza Kalaam taza-kalam

Tu-Jo-Cahe-bhiGhazal
Tu jo chahe bhi to sayad nahi hone ke
Lab humare lub-e-faryaad nahi hone ke
Us ke cooche main mian khaak urate kiyon ho
Tum se majnon tu ose yaad nahi hone ke
Koi achchi bhi khaber kaan main aaye yaarab
Aisi khabron se tu dil shaad nahi hone ke
Tu rahe hum se khafa kitna he chahe laikin
Hum magar tujh se tu nashaad nahi hone ke
Kaar-e-dunya ko hain darkaar hamari umrain!
Kaar-e-dunya se tu aazad nahi hone ke
Unginat jaagte chehre gaye mati ke tale
Ab naye zulm to ejaad nahi hone ke!
Ta qayamat wohi ek naam rahe ga abaad!
Hum kabhi mustaqil abaad nahi hone ke
Khaak ho jain ge ye to hai muqadder apna
Hum magar woh hain ke barbaad nahi hone ke
Chahe Namrood ho, Firoun ho ya ke ho yazeed
Sahab-e-shijra-o-aulad nahi hone ke