Taza Kalaam taza-kalam

tabeer-e-khwabGHAZAL
Tabeer-e-Khuwab kese zarar ke bagair ho
Mumkin nahi ye kam hunar ke bagair ho
Benai chata ho’n main benai ya khuda
Kia kijye wo nazar jo nazar ke bagair ho
Mangi hai ek dua mere mola qubool ker
Qurb-e-khuda ho aur kisi dar ke bagair ho
Sabit qadam raho tu umeed-e-samar karo
Bhetar hai wo safar jo mufar ke bagair ho
Dakhil ho tum bhi shar-e-qana’at ke bab main
mango na wo dua jo asar ke bagair ho
Mujh ko nahi khabr ke ye likhwa raha hai kon
Ye wo khabr hai jo ke khabar ke bagair ho
Usko chuaie tu khak safa’at sift bane
Chahe wo jism sahibo sir ke bagair ho
Parwaz-e-Fikr ki tu koi had nahi Adeel
Ye wo safar hai jo ke safar ke bagair ho
Adeel Zaidi