Taza Kalaam taza-kalam

Shera-o-DashtGhazal
Sehra-o-dasht-o-sro-o-saman ka shareek tha
Woh dard ki dawa, dukhan ka shaerek tha
Woh kia samajh sake ga mere ishq ka muqaam
Jo rooh ke safar main badan ka shaerek tha
Dekhi na hum ne jis ki jabeen per kabhi shikan
Woh dil ki aik aik chubhan ka shaerek tha
Ek lamhe ko woh aya tasawwur main to laga
Jese woh sare din ki thakan ka shaerek tha
Khamoshion se aaj hain hum mehv-e-guftagoo!
Woh saath he nahi jo sukhan ka shaerek tha
Allah us chiraagh ko roshan rakhe sada!
Jo tairgi main pehli kiran ka shaerek tha
Seraab ker gaya kisi aangan ko jo Adeel
Woh meri piyaas, meri ghutan ka shaerek tha
Adeel Zaidi