Taza Kalaam taza-kalam

Dua-e-Fatima hai Aur Main HoonDua-e-Fatima hai, Aur Main Hoo'n
Dua-e-Fatima hai, Aur main ho'n
Ata-e-Kibriya hai, Aur main ho'n
Payam-e-Mustafa hai, Aur main ho'n
Sana-e-Murtaza hai, Aur main ho'n
Koi dil main basa hai, Aur main ho'n
Muhabbat ki Fiza hai, Aur main ho'n
Alm Abbas ka hai, Aur main ho'n
Pashema'n alqama hai, Aur main ho'n
Farat-e-Jaa'n hai our uske kinare
Faqt ek ba wafa hai, Aur main ho'n
Wohi deta hai mere dil pe dastak
Wohi dil main basa hai, Aur main ho'n
Nazar chukhat se uthti hi nahi hai
Dar-e-Mushkil Kusha hai, Aur main ho'n
Na sajde se mujhe koi uthae
Yahan mera khuda hai, Aur main ho'n
Mujhe gham apne kam lagne lage hain
Khayal-e-Fatima hai, Aur main ho'n
Koi hai jo kare imdad meri
Sada-e-ba wafa hai, Aur main ho'n
Ye keh ker jhuk gaye sajde main mola
Baja teri raza hai, Aur main ho'n
Falk ko dekh ker kehte the Abid
Tera hi aasra hai, Aur main ho'n
Musibat aur kia aaye gi mujh per
Behan tu be rida hai, Aur main ho'n
Farishte kia yaha'n aaker karain ge
Yaha'n Khak-e-Shifa hai, Aur main ho'n
Kaha'n ha dawar-e-Mehshar bulao!
Yaha'n Mehshar bapa hai, Aur main ho'n
Khuda se kheta tha ye qalb-e-Abid
Tera bus aasra hai, Aur main ho'n
Adeel ab aur kia mujh ko talab ho
Zameen-e-Karbala hai, Aur main ho'n