Taza Kalaam 


Piyar karte raho
Or kuch na kaho

Lab ko kholain na woh
Dil alag baat hai
Apne lehje main bhi
Piyar gholain na woh

Is tarha ho ada
Jaise ek qarz hai

Us ki sunte raho
Piyar karte raho
Or kuch na kaho

Lub agar khul gaye!
Or zaban per kabhi
Koi such aagya!!

Silsile jitne the
Darmiyan jo bhi tha
Khawab daikhe the jo
Sab bikher jain ge
Aisa karna nahi !!
Sab ki sunnaa magar
Tum bikharna nahin

Hain safaid woh seyah
Maslon main kabhi
Rang bharna nahi

Lab pe iqraar ho
Piyar he piyar bus
Hurf-e-izhaar ho
Gar ana ye kahe
Dil na mil paye ge
Us pe mat jaiyo
Khoti he ye ana
Us se kuch na bana
Dil ke batainn suno
Faasle se sahi
Piyar karte raho
Or kuch na kaho
Rasta aik hai

Ek humari he kia
Saari dunya ka hi
Silsila aik hai
Aik aye the hum
Aik aye the tum
Aik hai ye safar
Bheer kitni bhi ho
Apni apni jagah
Her koi aik hai
Naam hain go juda
Per kudha aik hai

Sub ki sunte raho
Piyar karte raho
Or kuch na kaho

Kuch badalta nahi
Raat jati nahi
Din theherta nahi
Hone wala hai kia
Kuch bhi khulta nahi

Itne kam waqt main
Jis qadar kar sako
Piyar karte raho
Or kuch na kaho
Adeel Zaidi