Taza Kalaam taza-kalam

Rahe-e-Hayat-main-jo-logGhazal
Rah-e-hayaat main jo log jawida’n nikle
Wohi wafa-o-mohabbat ke tarjuma nikle
Ajeeb sahar ka aalam tha us mehfil main
“Zaba’n pe naz tha jin ko wo be zaba’n nikle”
Waha’n waha’n pe wafadario’n ka zor barha
Tumhare chane wale jaha’n jaha’n nikle
Safar ki hasratai’n niklai’n meri Ya Rab!
Magar jo dil main the arman wo kaha’n nikle
Aziz you’n tu bhot hain aziz kia khaye
Kia aziz magar muje se bad guma’n nikle
Yaqeen bhot tha mohabbat pe tum ko apni Adeel
Yaqee’n ke badle waha’n bhi faqat guma’n nikle
Adeel Zaidi