Taza Kalaam taza-kalam

qurb-e-ilahiQURB-E-ILLAHI
Main tha qurb-e-illahi se shad-o-magan
Us se mehw-e-sukhan
Ke achanak wahai'n
Haa'n! Harm ke qareeb
Ek masoom bachi ne dekha mujhe
Uski nazro'n main tu
Hasrat-o-yaas thi
Ek zamane ki shayad
Waha'n piyaas thi
Maa'n ki mamta ki piyaas
Baba jani ki Piyass
Ghar ke aangan ki piyaas
Khush libasi ki piyaas
Khane paani ki piyaas
khoaie bachpan ki piyaas
Kuch larkpan ki piyaas
Ghene, Kangan ki piyaas
Us ki aankho'n ne mujh se sabhi khe diya
Us ne honto'n ko hilne ki zehmat na di
Pait pale hai wo
Tupiya'n bech ker
Chadarai'n bech ker
Shurto'n ko miya'n
Kuch ana bech ker
Apne sir per wo chadar sajai howe
Dhol matti se khud ko bachai howe
So sawalo'n ko khud main samai howe
Pair tapti zamee'n per jamai howe
Dhanpti hai wo logo'n ke
Sir aur badan
Bandhe sir pe kafan
Mere dil ne kaha!
Shafqat-e-Baap kia hai bata de ise
Maa'n ki mamta kahai'n se la de ise
Khuwaishai'n puri ho'n
Sari piyaasai'n bujhai'n
Aab-e-Zam Zam kuch esa pila de ise
Us ke chere se phir meri nazrai'n hatai'n
Aur achanak main phir qibla ro hogaya
Hath uthe dua ko ke aai Kibraiya
Tere ghar main tu bus noor hi noor hai
Per tere sehan main
Kitni mayoos nanhi si ek hoor hai
Is ki chadar ko pur noor kar de Khuda
Is ke gham sare tu door kar de Khuda
Teri tehmat ke daman main kia kuch nahi
Tere aangan main kab se dua gu hai ye
Aai Khuda! tere aangan main kia kuch nahi