Taza Kalaam taza-kalam

GhazalGhazal
Qarze-e-Jaa’n se nimat rahi hai hayaat
Uski Janib palat rahi hai hayaat
Rafta rafta ghata chate jese!!
Bus isi tarha chat rahi hai hayaat
Chera phechan tak nahi pati!!
Gard main itni aat rahi hai hayaat
Jese suraj guroob hota hai
Phele ker yoo’n simat rahi hai hayaat
Jitne manzar hain ek manzar main
Kitne hiso’n main bat rahi hai hayaat
Koi us ko barha na paya Adeel
Lamha lamha jo ghat rahi hai hayaat