Taza Kalaam taza-kalam

nazar-e-jauniliaNAZR-E-JUAN ALIYA
Ye bhi qisa tamam kar aaya!
Aaj chukhat pe jaan dhar aaya
Wo jo ek ghar tha mere purkho'n ka
Mere hisse main kab wo ghar aaya
Kis tamanna se ghar se nikla tha
Per mujhe ras kab safar aaya
Imteha'n khatam hi nahi hote
Kitne maqtal mai'n par kar aaya
Chahatai'n bantai'n, Nafratai'n pai'n
Beej kia boya, kia samar aaya
De ke awaz her taraf tujh ko
Her taraf se main be khabar aaya
Dil kisi khouf se agar dharka
Lab pe ek naam be khatar aaya
Teri nisbat se mere kaghaz per
Harf jo aaya, muatabar aaya
Dil muhalle se jab bhi guzra Adeel
Tu hi gali'on main bus nazar aaya
Adeel Zaidi