Taza Kalaam taza-kalam

nazar-e-iqbalNAZR-E-IQBAL
Jaha'n main misl-e-Ali apna naam peda ker
"Diyar-e-Isq main apna maqam peda ker"
Sabaq ye seekh Ali ki khamoshio'n se zara
"Sakoot-e-lala-o-gul se kalam peda ker"
Ali wo hai jo gharibi main bhi ameer raha
"Khudi ni bech, gharibi main naam peda ker"
Muhabbato’n ke bhot jam tune bakshe hain
"Farog-e-isq Ali ka bhi jam peda ker"
Tu sher-e-ilm ke dar ka faqeer hai Adeel
"Naya zamana naye subh-o-sham peda kar"