Taza Kalaam taza-kalam

nazar-e-farazNAZR-E-FARAZ
Tere hote tu bayabaa'n bhi the gulshan saare
Tu nahi hai tu ye duniya hai bayabaa'n janaa'n
Adeel Zaidi
Houston, Nov, 2010
Kuch batana nahi ke tujh se kahai'n
Dil dukhana nahi ke tujh se kahai'n
Ye naye zawiye hain zakhmo'n ke
Dil lubhana nahi ke tujh se kahai'n
Ek zamana tha sab kaha tujh se
Wo zamana nahi ke tujh se kahai'n
Dil bhalta tha aane jaane se
Aana jana nahi ke tujh se kahai'n
Kar-e-mushkil hai jorna dil ka
Aazmana nahi ke tujh se kahai'n
Heer ranjha ki ye kahani nahi
Ye fasana nahi ke tujh se kahai'n
Khuwaisho'n ko sula chuke kab ke
Ab jagana nahi ke tujh se kahai'n
Ghar hamara ujar chuka hai Adeel
Ab basana nahi ke tujh se kahai'n
Adeel Zaidi