Taza Kalaam
Mohammad Mustafa
Ameen-o-Sadiq-o-Kaamil hain Mustafa ke Laqab
Alif bhi Laam bhi Yaseen bhi Khuda ka Rasool
Woh Gup Andhero'n main Iqra ka noor le aaya
Dua-e-Hamd bhi, Aameen bhi Khuda ka Rasool

Khuda Ka Rasool
Hamara Deen bhi eeman bhi Khuda ka Rasool
Zabaan-e-Rabbhi hai Quran bhi Khuda ka Rasool

Kitaab-e-Pak bhi Juzdaan bhi Khuda ka Rasool
Khuda ki shaan bhi pehchan bhi Khuda ka Rasool

Hai Noor-e-ilm bhi, irfan bhi Khuda ka Rasool
Samjhne waloo'n ko faizan bhi Khuda ka Rasool

Jo ho khayal ke Naqsh-e-Qadam pe kis ke chalai'n
Jo sochye tu wo bhi insaan bhi Khuda ka Rasool

Mujhe Yaqeen hai, kirdar-e-Mustafa ki Qasam
Misal-e-Adl bhi, Rehman bhi Khuda ka Rasool

Jo Sochye tu hai zaat-e-Rasool phelo daar!
Jo dekhye tu hai aasan bhi khuda ka Rasool

Go mezan-e-falak tha, magar shab-e-meraj
Khuda ke ghar raha mehman bhi Khuda ka Rasool

Zameen waloo'n ki batain falak pe ja phonchain!
Falak ka maan bhi, Farman bhi Khuda ka Rasool

Adeel bat ye mojiz numa hai, ghor karo!
Hamare jesa bhi, furqan bhi Khuda ka Rasool