Taza Kalaam taza-kalam

Main-is-se-qeemti-sheAmmi Jaan
Main is se qeemti shay koi kho nahi sakta
AdÏeel maan ki jag’ha koi ho nahi sakta
Mere khuda yahan darkaar hai maseehai!
Lahoo ko aadmi ashkon se dho nahi sakta
Ye or baat hai ho jaye mo’jeza koi!
Ye gham khoshi main badal jaye ho nahi sakta
Zara ye jaan nikal jaye to milain ge zaroor
Ke zindagi main to ab aisa ho nahi sakta
Teri duain hamesha rahain gi saath magar
Main tari gaud main sar rakh ke so nahi sakta
Khuda ka shukr ke waqif hai haal-e-dil se too
Haroof main tu tera gham samo nahi sakta
Juda jo ho gaye tasbeh-e-roz-o-shab se Adeel
Main zindagi main woh dane pro nahi sakta
Adeel Zaidi
(Aug., 2006)
Dil ki dharkan ko suna ghor sa kal raat Adeel
Jis ko main dhondta rehta hoon basa hai mujhe