Taza Kalaam taza-kalam

khuwabKhuwab
Main ne khuwab dekha tha
Panio'n ke par ek din
Basti ek basao'n ga
Jis ke rehne walo'n main
Nafratain nahi hon gi
Sirf Qurbatain hon gi
Bus muhabatain hon gi
Yo'n howa ke phir ek din
Ek uran khatole ne
La khara kia mujh ko
Meri Khuwab basti main
Na shanas basti ke
Kush numa makano'n main
Qurbatain tu kam kam thain
Doria'n zeyada thain
Is se beshtar sare
Fard fard ghat jain
In naye makano'n ke
Fasle simat jain!
Kash sab makain apne
Sakhta hisaro'n se
Ek din nikal aain
Or mere khuwabo'n ki
De dain mujhe ko tabirain
Kash khuwab basti ek
Be makan basti ho
Kash sab maka'n apne
Ghar main phir badal jain
Ek esa ghar ke jo
Panio'n ke par ek din
Dosh per hawa ke main
Peche chor aaya tha
Kash, Kash ki gardan
Khuwab Khuwab yo'n gonji
Aankh khul gai sahib!
Aankh jab khuli main ne
Kuch nai diwaro'n ke
Khud ko darmai'n paya
Main naye jaha'n main tha
Ek naye Maka'n main tha
Khuwab main ne dekh tha!!