Taza Kalaam taza-kalam

Khali-Dunaya-se-guzarGhazal
Khaali dunya main guzar kia karte
Bin tere umr baser kia karte
Too ne manzil hi badal di apni
Hum tere saath safar kia karte
Aik hi khwabe junoo kaafi tha
Dekh kar bar-e-digar kia karte
Apni hi uljhanoo main uljhe the
Hum teri zulf ko sar kia karte
Hum jo dewangi main kar guzra
Aql wale wo hunr kya karta
Jo kia to na khuda janta hai
Hum tere saath magar kya karta
Jabke raste main bikharna hi tha
Baandh kar rukht-e-safer kia karte
Jisam ka bojh liye loute the
Shaher walon ko khabar kia karte
Khud zameen orh li hum ne aakhir
Or bay samt safer kia karte
Adeel Zaidi