Taza Kalaam taza-kalam

Kahain-ek-bhool-se-jannatTazad-o-Maslehat
Kahain ek bhool se jannat nikal jati hai qadmo’n se
Kahain us ko bhulane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain shule hifazat main gul-o-gulnar bante hain
kahain kheme jalane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain aanso bahane se basarat lout aati hia
Kahain ghar loutane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain darya ki mojai’n fesla karti hian zailm ka
Kahain darya pe jane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain pe khowe khoo’n rezi aqeedo’n ko badalti hai
Kahain murde jalane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain eri ragarne se zamee’n chasme ugalti hai
Kahain gardan katane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain sherao’n ki banjar zamee’n sona ugalti hai
Kahain gandam ugane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain do unglio’n se fesla hota hai khebar main
Kahain bazo katane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain chulo main ghazi ki hukmara’n doob jate hain
Kahian hakim banane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain zor-e-sukhan qomo’n ki taqderai’n badalta hai
Kahain fojai’n bulane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain khamosiyan bhi jeet leti hian mahazo ‘n ko
Kahain tupai’n chalane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain gham ta qayamat dost ker deta hai apno’n kl
Kahain khusiya’n lutane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain apne sukhan se ek behan dil jeet leti hai
Kahain khanjar chalane se bhi sahib kuch nahi hota
Kahain tanhaiya’n rutbe ata karti hian inshan ko
Kahian mehfil sajane se bhi sahib kuch nahi hota
Adeel Zaidi