Taza Kalaam
Ghazal
Jahan-e-ilm ka bab-e-nisaab hote howe
Bhatak raha hoo’n main ehl-e-kitaab hote howe

Kuch or bhi hai kharabi ki dosri surat
Main khud ko dekh raha hoo’n kharaab hote howe

Jo kam dil ko mere fitratan nahi bhate
Unahia’n main ker nahi pata sawaab hote howe

Mere hi dam se hai jo kuch bhi is jaha’n main hai
Main kese khud ko bhulado’n janaab hote howe

Adeel jo the in aankho’n ki roshni kal tak
Wo chere dekh raha hoo’n main khuwab hote howe

Adeel Zaidi