Taza Kalaam taza-kalam

Hum-Thama-ZameenGhazal
Hum ne thama yaqeen ko guma chor kar
Ek taraf ho gaye darmiyan chor kar
Dil na mana jeain kehkashan chhor kar
Ja ke baste kahan khandan chhor kar
Apna ghar chhor kar bastian chhor kar
Be amman ho gaye hum aman chhor kar
So gaye beach main dastan chhor kar
Hum alag ho gaye karwan chhor kar
Kese nadan the hum sab kahan aagaye
Apne aaba-o-jad ke makan chhor kar
Sath chalte rahey ye na soucha kabhi
Kon jaye ga kis ko kahan chhor kar
Aaj bhi muntazir hum wahin hain tere
Kal gaya tha hain too jahan chhor kar
Raah apni nikale tu manzil mili
Hum chale jadah-e-rahbaraan chhor kar
Hai ye maloom gar jism-o-jaan se gaye
Sab chale jaain ge mehrban chhor kar
Gar tumhari tamanna hai daim raho
Jao zehnon main roshan nishan chhor kar
Tum to tanha hoye jetey jee hi Adeel
Log jatey hain tanha jahan chhor kar
Adeel Zaidi