Taza Kalaam 
Khaak-e-Haram
Sarab-e-jan ko jaha ki chamak samajhte rahaiWo rooh main tha jise jism tak samajhte rahai
Pata chala ke wo khak-e-haram ki khushboo thiHum us ko sajde main gull ki mahak samajhte rahai
Ajab thi kefiyat-e-jaa'n tawaf ke doraa'nHum apne aap ko jinn-o-malak samajhte rahai
Khuda ko dhondne ka kab humain khayal ayaHum apni zaat ko us ki jhalak samajhte rahai
Ajeeb waqt guzara khuda ke ghar main AdeelZameen thi zer-e-qadam, hum falak samajhte rahai



