Taza Kalaam taza-kalam

Ghar-Ata-kerGhazal
Ghar ata kar, makan se kia hasil
Sirf wehm-o-gumaan se kia hasil
Be yaqeeni hi be yaqeeni hai!
Is zameen-o-zaman se kia hasil
Souch age barhe to baat bane
Sirf umr-e-rawan se kia hasil
Dil bhi asoodha chahiye warna
Dolat-e-bekraan se kia hasil
Aik chehra hai kaeynaat mare!
Soorat-e-digaran se kia hasil
Jub khooshi rooh ki na sath rahi
Raahat-e-jism-o-jaan se kia hasil
Dil main jab jins-e-aarzoo he nahi
Sirf khali dukaan se kia hasil
Apne a’amaal ko bhe badlo Adeel
Sirf aah-o-fughan se kia hasil