Taza Kalaam taza-kalam

De hosle ki dad ke hum tere gham main aaj
Bethai'n hain mehfilo'n ko sajai tere bagair
Tuje se juda howe tu ye hojain ge juda
Baqi kaha'n rahain ge ye saiye tere bagair
Mera dil tot jane per miya'n n herat kesi
Agar rasta badal jaye sitare tot jate hain
Rasm-o-Riwaj chor ke sab aagayae yaha'n
Rakhi hain taq main ab ghairatain tamam
Khuwab tabeer ker ke dekh sakai'n
Rabta is qadar bahal na tha
Niyatao'n ki kami rahi warna
Milna uska bhot mahal na tha