Taza Kalaam
Ghazal
Darai gi bhala kia teri gardish aasma’n mujh ko
Mila rab se dua-e-Fatima ka saiba’n mujh ko

Chali hai chor ker kiyo’n bhar-e-gulsita’n mujh ko
“Khuda jane kaha’n le jaye ab bad-e-khiza’n mujh ko”

Main shukre rab ka qail ho’n kesi hi hawa chalti ho
Pata aasanio’n ka de gai hain sakhtiya’n mujh ko

Jala do’n ga husol-e-maqsood ki khatir
Jalani par gain gar sari apni kashtia’n mujh ko

Na shama-e-Anjuman main ho’n, na parwano’n ka mela hai
Kaha’n tha main, kaha’n le aai umr-e-rawa’n mujh ko

Suna hai sab bhula bethe Adeel dil shakasta ko
Na jane aarahi hain sham se kiyo’n hichkia’n mujh ko

Adeel Zaidi