Taza Kalaam taza-kalam

Bus-Lamhe-bhar-mainGhazal
Bus lamhai bhar main faisla karna para mujhe
Sub chhor chhar ghar se nikalna para mujhe
Jab apni sar zameen ne mujh ko na di panah
Anjaan vaadion main utarna para mujhe
Paoon main aable the thakan umar bhar ki thi
Rukna tha, bethna tha, pa chalna para mujhe
Apni parakh ke waste toofan ke darmiyan
Mazboot kashtion se uterna para mujhe
Tari ana ke haath main the tere faisle
Tu, to badal na paya, badslna para mujhe
Be inteha tazaad tha donon ke souch main
Kuch yuon bhi raaste ko badalna para mujhe
Ye bhi hoa ke badil-e-nakawasta kabhi
Zinda haqiqaton se mukarna para mujhe
Yakja raha ek umar magar teri deed ko
Maanind musht-e-khaak bikharna para mujhe
Aaghaz apne bas main na anjaam hi Adeel
Ek zindagi guzaar ke marna para mujhey
Adeel Zaidi