Taza Kalaam taza-kalam

Azan-e-Majlis
Maghferat ke phool chun'ne Majliso'n main Aaiye
Aanso'on ke haar bun'ne Majliso'n main Aaiye
Arsh ki meraaj ko pesh-e-nazar rakh kar Adeel
Farsh ki me'araaj sun'ne Majliso'n main Aaiye
Rakh ke nazro'n main baqa ko, Majliso'n main Aaiye
Raazi karne Mustafa ko, Majliso'n main Aaiye
Maqsad-e-Khalqat hamara hai, Aza Shabbir ki
Dene pursa Fatima ko, Majliso'n main Aaiye
Sidq ki teh main utarne Majliso'n main Aaiye
Aagahi ki mashk bharne Majliso'n main Aaiye
Zindagi ka zabta Karb-o-Bala hai ae Adeel
Zindagi ki baat karne Majliso'n main Aaiye
Raahe eemaani pay chalne, Majliso'n main Aaiye
Yu'n andheo'n se nikalne Majliso'n main Aaiye
Kia ajab jannati ban jaain hum maanind-e-Hur
Apni taqdeeain badalne, Majliso'n main Aaiye
Raahe eemaani pay chalne, Majliso'n main Aaiye
Yu'n andheo'n se nikalne Majliso'n main Aaiye
Kia ajab jannati ban jaain hum maanind-e-Hur
Apni taqdeeain badalne, Majliso'n main Aaiye
Haq ke Unwaan ko samjhane Majliso'n main Aaiye
Deen-o-Eema'n ko samjhane Majliso'n main Aaiye
Rehal par rakkha na reh jaye Kahai'n Qura'an Adeel
Rooh-e-Qura'an ko samjhane Majliso'n main Aaiye
Apne seenay main basa lijiye Gham-e-Aal-e-Nabi
Or saaray gham bhulaane Majliso'n main Aaiye
Hum ne jo farsh-e-Aza se dars seekha, wo Adeel
Apne bachcho'n ko sikhaane Majliso'n main Aaiye