Taza Kalaam 


Esa sannata, agar patta hile
Ankh darwaze ki aahat pe ja ke ruk jaye
Kash aajaye koi
Phir mohabbat ka safeer
Meri anjan si chahat ka aseer

Us maka’n main bhi ke jis main main tanha
Reh raha hon main kai sadiyo’n se
Aane wale ke muqaddar ke tufail
Meri Manzil mera ghar mere kinare aajai’n

Dastak-e-dil se aankh khul jaye
Ghar ki dheleez per ther jaye
Door ek saya sa nazar aaye
Dil ye phir bar bar samjaye
Haa’n abhi, bus abhi aata hoga
Meri janib bhi koi
Sirf muhabbat ka safeer
Meri chahat ka aseer

Aur phir khud ko Adeel
Dastak-e-dil ke udhar
Tanha khara pata hon
Or mera aks

There howe pani mian
Her subh mujh ko nazar ata hai
Roz ye samjhata hai
Meri dheleez pe koi bhi nahi
Bus main ho’n!
Ek anjan si chahat ka safeer
Ek gumnam muhabbat ka faqeer!!
Adeel Zaidi